dasht men avara ham ko shahr men rusva kiya
kya kahen tum se suluk is ishq ne kya kya kiya
puchhte kya hain dam-e-takbir tu ne kya kiya
surat-e-a.ina chehra aap ka dekha kiya
jab talak ik-jan do-qalib ka tasavvur tha janab
sam bhi gar tum ne diya tiryaq main samjha kiya
hafizon men kyon na ho mahshur majnun roz-e-hashr
yaad subhanallazi bhi us ne ta-laila kiya
Leave a Reply