na aati thi kahin dil men nazar aag
magar phir bhi jali hai raat bhar aag
khula hai dil men ik daghon ka gulshan
ugalta hai mira zaḳhm-e-jigar aag
bulaya tha mujhe bazm-e-tarab men
laga di dil men kyuun munh pher kar aag
dikhaya tuur par muusa ko jalva
kahan ja kar bani hai rahbar aag
ye girya aur phir ah-e-sharar-bar
taraqqi par idhar paani udhar aag
vo mera dil jalana khel samjhe
karegi rafta rafta ye asar aag
shab-e-gham is qadar roya hai koi
ki DhunDe bhi nahin milti sahar aag
vo dil par haath rakh kar ga.e hain
ki ab jalne na paa.e raat bhar aag
zamane ko jalata hai vo zalim
na ban jaa.en kahin shams-o-qamar aag
ye kis ki sard-mehri ka asar tha
na dekhi tuur par bhi jalva-gar aag
karun kya ah-e-sozan hijr ki shab
farishton ke jala deti hai par aag
ye dushman ka makan apna hi ghar hai
laga den aap be-ḳhauf-o-ḳhatar aag
dil-e-sozan ye kah de chashm-e-tar se
ḳhuda ke vaste ThanDi na kar aag
hasad ki aag men jalta hai ab tak
barasti hai adu ki qabr par aag
vuzu ho ja.enge zahid ke ThanDe
bujha degi kisi ki chashm-e-tar aag
dil-e-nadan ko ham samjha chuke the
mohabbat aag hai ai be-ḳhabar aag
suna mazmun javab-e-ḳhat ka ‘rasiḳh’
uTha laaya kahin se nama-bar aag
Leave a Reply