isi liye to haar ka hua nahin malal tak
vo mere saath saath tha uruuj se zaval tak
nahin hai sahl is qadar ki ji sake har ek shaḳhs
bala-e-hijr ki ruton se mausam-e-visal tak
hamari kisht-e-arzu ye dhuup kya jala.egi
tumhara intizar ham karenge barshgal tak
amiiq zaḳhm is qadar ba-dast-e-roz-o-shab mile
ki mundamil na kar saki dava-e-mah-o-sal tak
quba-e-zard-o-surḳh ka ye imtizaj al-aman
jamal ko vo le gaya pare had-e-kamal tak
Leave a Reply