• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-Nazara Bhi Gaya

Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-Nazara Bhi Gaya

abu-mohammad-wasil-bahraichi

aage vo ja bhi chuke lutf-e-nazara bhi gaya

chashm-e-ghaflat na khuli sub.h ka taara bhi gaya

sard-mehri se tiri garmi-e-ulfat na rahi

dil men uthta tha jo har-dam vo sharara bhi gaya

dil ke aine men jab aap ki surat dekhi

jis ko dhoka main samajhta tha vo dhoka bhi gaya

ishq ko tab-e-tajalli nahin kya dekhega

husn ye jaan ke pardon ko uthata bhi gaya

kis ne paai hai gham-e-yar-e-mohabbat se najat

ishq ka bojh kahin sar se utara bhi gaya

tere qadmon pe jo lazzat hai vo hasil na hui

yuun to sajde men sar-e-ijz jhukaya bhi gaya

dil ki ashufta-mizaji men na kuchh farq aaya

barha zulf-e-pareshan ko sanvara bhi gaya

mangne se kahin ye chiiz mila karti hai

dil churane hi ke qabil tha churaya bhi gaya

be-khudi tujh pe tasadduq hon mire hosh-o-havas

samne hote hue un ko pukara bhi gaya

ek hi chiiz hai parde men ki bairun-e-hijab

mujh ko zahir bhi kiya khud ko chhupaya bhi gaya

phir bhi ankhen rahin mahrum-e-tamasha-e-jamal

un ki tasvir ko shishe men utara bhi gaya

chhod kar mujh ko bhanvar men na khabar li meri

ik sahara tha tumhara vo sahara bhi gaya

pa-e-mahbub pe sar rakh ke hue ham ‘vasil’

zindagi paai nai maut ka dhadka bhi gaya

dil ke aine men nadida tajalli dekhi

khud-numai ka bhala ho ki vo parda bhi gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Baad Muddat Ke Wo Mila Hai Mujhe

Siyah Hai Dil-E-Giti Siyah-Tar Ho Jae

KHak-Basta Hain Tah-E-KHak Se Bahar Na Hue

Ye Dhup Chhanw Ke Asrar Kya Batate Hain

KHud Apne Aap Ki Nazron Mein Gir Gaya Hai Koi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet