gore gore chand se munh par kaali kaali ankhen hain
dekh ke jin ko niind aa jaa.e vo matvali ankhen hain
munh se palla kya sarkana is badal men bijli hai
sujhti hai aisi hi nahin jo phuTne vaali ankhen hain
chaah ne andha kar rakkha hai aur nahin to dekhne men
ankhen ankhen sab hain barabar kaun nirali ankhen hain
be jis ke andher hai sab kuchh aisi baat hai us men kya
ji ka hai ye bavla-pan ya bholi-bhali ankhen hain
‘arzu’ ab bhi khoTe khare ko kar ke alag hi rakh dengi
un ki parakh ka kya kahna hai jo Teksali ankhen hain
Leave a Reply