dahan kholengi apni sipiyan ahista ahista
guzar dariya se ai abr-e-ravan ahista ahista
lahu to ishq ke aghaz hi men jalne lagta hai
magar honton tak aata hai dhuan ahista ahista
palatna bhi agar chahen palat kar ja nahin sakte
kahan se chal ke ham aae kahan ahista ahista
kahin laali bhari thali na gir jaae samundar men
chala hai shaam ka suraj kahan ahista ahista
abhi is dhuup ki chhatri tale kuchh phuul khilne do
zamin badlegi apna asman ahista ahista
kise ab tuut ke rone ki fursat kar-e-duniya men
chali jaati hai ik rasm-e-fughan ahista ahista
mire dil men kisi hasrat ke pas-andaz hone tak
nimat hi jaega kar-e-jahan ahista ahista
makin jab niind ke saae men sustane lagen ‘tabish’
safar karte hain basti ke makan ahista ahista
Leave a Reply