pa ke tufan ka ishara dariya
tod deta hai kinara dariya
kaise dubegi bhanvar men kashti
kaise dega na sahara dariya
sail-e-himmat hain hamare baazu
duub jaega tumhara dariya
band afkar ne bandhe lekin
chadh ke utra na hamara dariya
ahl-e-himmat ne duboya sab ko
na-khudaon se na haara dariya
ai asir-e-gham sahil idhar aa
beach dhare se pukara dariya
himmat-e-tark-e-vafa duub gai
kis ne ankhon men utara dariya
mauj ne puchh liya kal ‘tarzi’
kashti pyari hai ki pyara dariya
Leave a Reply