ishq ko kamyab hona tha
aap ko be-naqab hona tha
kya shikayat tire taghaful ki
ḳhatm mera shabab hona tha
aap ne hosh kho diye mere
aaj hi be-naqab hona tha
kyuun na dil chhin kar vo le jaate
zindagi ko ḳharab hona tha
un hasinon ke zulm sahne ko
mera hi intiḳhab hona tha
kyuun zuleḳha ka ḳhvab ban na gaya
gar mujhe kamyab hona tha
chiir kar dil ko dil se nikli thi
aah ko kamyab hona tha
mil ke ‘shankar’ se aaj us ne kaha
tujh ko mast-e-sharab hona tha
Leave a Reply