• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Machalti Hai Mere Aaghosh Mein Khushbu-E-Yar Ab Tak

Machalti Hai Mere Aaghosh Mein Khushbu-E-Yar Ab Tak

ahmad-nadeem-qasmi

machalti hai mire aghosh men khushbu-e-yar ab tak

miri ankhon men hai is sehr-e-rangin ka khumar ab tak

koi aata nahin ab dil ki basti men magar phir bhi

umidon ke charaghon se hain raushan rahguzar ab tak

abhi tak nisf shab ko chandni gaati hai jharnon men

nahin badli shabab-e-muntazir ki yadgar ab tak

jala rakkhe hain shahrahon pe ashkon ke diye kab se

nahin guzra kabhi is samt se vo shahsavar ab tak

shikast-e-arzu ko ishq ka anjam kyuun samjhun

muqabil hai mire aina-e-lail-o-nihar ab tak

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-ata

Hui Ghazal Hi Na Kuchh Baat Ban Saki Humse

sahir-ludhianvi

Parbaton Ke Pedon Par Sham Ka Basera Hai

neel-ahmed

Rihai

Wahi Din Hai KHauf-O-Hiras Ka Wahi Haal Abhi Bhi Hai Pyas Ka

ahmad-hatib-siddiqi

Thoda Thoda Kharch Karen Hum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet