• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Geet / Ye duniya do-Rangi Hai

Ye duniya do-Rangi Hai

sahir-ludhianvi

ye duniya do-rangi hai

ek taraf se resham odhe ek taraf se nangi hai

ek taraf andhi daulat ki pagal aish-parasti

ek taraf jismon ki qimat roti se bhi sasti

ek taraf hai sonagachi ek taraf chaurangi hai

ye duniya do rangi hai

aadhe munh par nuur barasta aadhe munh par chire

aadhe tan par kodh ke dhabbe aadhe tan par hiire

aadhe ghar men khush-hali hai aadhe ghar men tangi hai

ye duniya do-rangi hai

mathe uupar mukut sajae sar par dhoe ganda

daaen haath se bhiksha mange baaen se de chanda

ek taraf bhandar chalae ek taraf bhik-mangi hai

ye duniya do-rangi hai

ik sangam par laani hogi dukh aur sukh ki dhara

nae sire se karna hoga daulat ka batvara

jab tak uunch aur niich hai baaqi har surat be-dhangi hai

ye duniya do-rangi hai

Filed Under: Geet Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

muneer-niyazi

Aa Gai Yaad Sham dhalte Hi

Rawana Wo Bhi Hua Hai Nae Safar Ke Liye

KHwab Aise Ki Gai Raat Darane Lag Jaen

poet

Khoya Hua Tha Hasil Hone Wala Hun

poet

Aap Se Hai Muqabla Dar-Pesh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet