ishq men mujh ko bigaḌ kar ab sanvarna aa gaya
ho gaya nakam lekin kaam karna aa gaya
ye agar sach hai ki mujh ko ishq karna aa gaya
to samajh lo roz jiina roz marna aa gaya
dava-e-ishq-o-vafa par mujh ko marna aa gaya
kah guzarne ki jagah ab kar guzarna aa gaya
varta-e-dariya-e-gham ne aise ghote de diye
Dubna phir Duub kar mujh ko ubharna aa gaya
chand ḳhun-aluda aansu jazb-e-daman ho ga.e
paikar-e-sada men gham ko rang bharna aa gaya
sheva-e-ishq-o-vafa men ham ko nakami sahi
kam se kam ye to hua be-maut marna aa gaya
shauq se zulm-o-sitam ab roz Dhate ja.iye
ahl-e-gham ko gham uTha kar gham na karna aa gaya
kuchh tavahhum kuchh tavaqqo.a kuchh alam kuchh imbisat
ishq kar ke mujh ko jiina aur marna aa gaya
kasrat-e-azar ne ta.alim de di zabt ki
jabr ke baa.is se dil ko sabr karna aa gaya
ashk ankhon men pahunch kar dil men phir vapas ga.e
yuun samajh le chaḌhte dariya ka utarna aa gaya
kam se kam tha ik tarah ka aasra iqrar tak
lekin un ko saaf ab inkar karna aa gaya
rahguzar se ishq ki main aaj tak guzra nahin
kis tarah kah duun mujhe ji se guzarna aa gaya
husn ki naḳhvat ne pahunchaya uḌa kar arsh tak
ab to pariyon ka bhi tum ko par katarna aa gaya
bahr-e-zauq-o-shauq men ye bhi ghanimat janiye
‘nuh’ ko tufan uTha kar gharq karna aa gaya
Leave a Reply