jachti nahin kuchh shahi-o-imlak nazar men
hain mehr-o-mah-o-anjum-o-aflak nazar men
ik soz-e-fusun gar hai tiri aankh men pinhan
hai dil ke liye shauq ka fitrak nazar men
kya khuub ki kashkol faqiri se hai aaya
ik ganj-e-giran-maya tah-e-khak-e-nazar men
ik khvab-e-sahar-saz ka nayab khazana
daryaft kiya hai tiri bebak nazar men
kuchh aur kahan chahiye is dil ko ki ab hai
dariya-e-gham-e-ishq ka pairak nazar men
ye khvab hai sayyad ka ya ik dil-e-vahshi
ubhra hai koi tair-e-chalak nazar men
sailab shaqavat ke muqabil hai tumhare
ye fasl-e-mohabbat khas-o-khashak nazar men
khaae hain bahut mauj-e-mukhalif ke thapede
rakkha hai bahut bahr-e-khatarnak nazar men
malbus men ‘anjum’ ke hain paivand ke gauhar
kyuun thahre ye kamkhab ki poshak nazar men
Leave a Reply