Kuchh Gham Ka Gham Hua Na KHushi Ki KHushi Hui

kuchh ġham kā ġham huā na ḳhushī kī ḳhushī huī

kis rāhat-o-sukūñ se basar zindagī huī

us be-navā gadā ko shahanshāh jāniye

jis ko nasīb daulat-e-dīvāngī huī

kaise shab-e-firāq kaTī kuchh na pūchhiye

ik dāstāñ hai rañj-o-alam se bharī huī

sajde ko sar jhukā diyā apne hī paañv par

mujh ko jab apnī zaat se kuchh āgahī huī

ḳhud apne husn kī bhī na vo taab lā sakā

jis aadmī ke qalb meñ kuchh raushnī huī

saaqī tire karam kī to kuchh intihā nahīñ

ye aur baat kam na mirī tishnagī huī

furqat meñ bhī nasīb hai mujh ko nashāt-e-qurb

dil meñ kisī kī yaad hai aisī basī huī

‘sābir’ zabāñ pe harf-e-shikāyat na lā sakā

us kī sarisht meñ hai qanā.at bharī huī

Leave a Comment