zulm hai taḳht taaj sannaTa
ḳhauf qanun raaj sannaTa
guftugu tiir si lagi dil men
ab hai shayad ilaaj sannaTa
so ga.iin yaden bujh ga.i ummid
ghar men kitna hai aaj sannaTa
log dil ki kahen to kaise kahen
chahta hai samaj sannaTa
apni aadat ki sab se sab kah den
shahr ka hai mizaj sannaTa
Leave a Reply