falak pe chand nahin koi abr-para nahin
ye kaisi raat hai jis men koi sitara nahin
ye inkishaf sitaron se bhar gaya daman
kisi ne itna kaha jab ki vo hamara nahin
zamin bhanvar ho jahan asman samundar ho
vahan safar kisi sahil ka istiara nahin
main mukhtalif huun zamane se is liye shayad
kisi khayal ki gardish mujhe gavara nahin
khizan ke mausam-e-khamosh ne sada di hai
jamal-e-dost ne phir bhi mujhe pukara nahin
jo reza reza nahin dil use nahin kahte
kahen na aina us ko jo para-para nahin
main zakhm zakhm sahi phir bhi muskuraya huun
‘zafar’ ba-nam-e-zafar haar ke bhi haara nahin
Leave a Reply