duniya men suragh-e-rah-e-duniya nahin milta
dariya men utar jaaen to dariya nahin milta
baaqi to mukammal hai tamanna ki imarat
ik guzre hue vaqt ka shisha nahin milta
jaate hue har chiiz yahin chhod gaya tha
lauta huun to ik dhuup ka tukda nahin milta
jo dil men samae the vo ab shamil-e-dil hain
is aaine men aks kisi ka nahin milta
tu ne hi to chaha tha ki milta rahun tujh se
teri yahi marzi hai to achchha nahin milta
dil men to dhadakne ki sada bhi nahin ‘mushtaq’
raste men hai vo bhiid ki rasta nahin milta
Leave a Reply