• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tujhse Badh Kar Koi Pyara Bhi Nahin Ho Sakta

Tujhse Badh Kar Koi Pyara Bhi Nahin Ho Sakta

saleem-kausar

tujh se badh kar koi pyara bhi nahin ho sakta

par tira saath gavara bhi nahin ho sakta

rasta bhi ghalat ho sakta hai manzil bhi ghalat

har sitara to sitara bhi nahin ho sakta

paanv rakhte hi phisal sakta hai mitti ho ki ret

har kinara to kinara bhi nahin ho sakta

us tak avaz pahunchni bhi badi mushkil hai

aur na dekhe to ishara bhi nahin ho sakta

tere bandon ki maishat ka ajab haal hua

aish kaisa ki guzara bhi nahin ho sakta

apna dushman hi dikhai nahin deta ho jise

aisa lashkar to saf-ara bhi nahin ho sakta

pahle hi lazzat-e-inkar se vaqif nahin jo

us se inkar dobara bhi nahin ho sakta

husn aisa ki chaka-chaund hui hain ankhen

hairat aisi ki nazzara bhi nahin ho sakta

chaliye vo shakhs hamara to kabhi tha hi nahin

dukh to ye hai ki tumhara bhi nahin ho sakta

duniya achchhi bhi nahin lagti ham aison ko ‘salim’

aur duniya se kinara bhi nahin ho sakta

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sahir-ludhianvi

Ye duniya do-Rangi Hai

Naya Paiman Raushan Kar Gaya Hai

Aise Chup Rah Ke Faeda Kya Hai

Kamal-E-Ishq Mein Soz-E-Nihan Baqi Nahin Rahta

poet

Muddat Ke Baad Isne Likha Mere Nam Khat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet