ye duniya hai use dar-ul-fitan kahna hi paḌta hai
yahan har rahbar ko rahzan kahna hi paḌta hai
vafur-e-aql-e-insan se baḌhi insan-kushi itni
vafur-e-aql ko divana-pan kahna hi paḌta hai
vo sahra jis men kaT jaate hain din yad-e-baharan se
ba-alfaz-e-digar us ko chaman kahna hi paḌta hai
gul-afshani-e-guftar-e-mujahid be-asar ho jab
to us ko qissa-e-dar-o-rasan kahna hi paḌta hai
yahan kitnon ke ji chhuTe yahan kitnon ke dam TuuTe
vafa ki raah ko himmat-shikan kahna hi paḌta hai
Leave a Reply