har ik ke tajarbe se muḳhtalif hai tajraba mera
na kyuun sab se alag ho zindagi par tabsira mera
nahin ma.alum kitni martaba marna paḌa mujh ko
jiye jaana mira har-hal men hai mo.ajiza mera
miri hasti nahin mahdud hargiz chand lamhon tak
azal se ta-abad jaari rahega silsila mera
ye mujh se mashvara kyuun hai miri qismat ke baare men
tumhara faisla jo hai vahi hai faisla mera
‘munavar’ pahle apne zauq par tanqid farma len
mire ahbab nahaq le rahe hain ja.eza mera
Leave a Reply