ham un ki nazar men samane lage
magar jab nazar bhi na aane lage
ye teri sukhan-saziyan hain nadim
kisi par vo kyuun rahm khane lage
na di ghair ne dad-e-tarz-e-sitam
sitam-gar ko ham yaad aane lage
na danish durust aur binish baja
dil-o-dida donon thikane lage
gaya tha ki in ki khushamad karun
vo ulta mujhi ko banane lage
kabhi khair-maqdam kabhi marhaba
zaban par ye alfaz laane lage
kabhi mere qurban hote rahi
kabhi mujh ko pankha hilane lage
kabhi let kar paanv phaila diye
kabhi dekh kar muskurane lage
kiya main ne jab azm-e-bos-o-kanar
to uth baithe aur munh chidhane lage
kahin phir dupatta sambhalne laga
kahin aadmi ko bulane lage
khudaya kiya kis ne un par sitam
ilahi ye kyuun ghul machane lage
vo dam men kab aate the dete the dam
ki samjhun mire dam men aane lage
vo mahfil men aaen to ‘nazim’ zarur
mughanni ye ashar gaane lage
Leave a Reply