anokha kuchh kahan aisa hua hai
tamasha sab mira dekha hua hai
ḳhushi ko ham-nashin apna bana kar
nishan-e-gham bahut gahra hua hai
hansi kyuun be-tahasha aa.i us ko
zamana kis liye sanka hua hai
na.i shadab qurbat ki faza men
bahut maḳhmur sa lahja hua hai
sarapa dekh kar dilkash kisi ka
har ik manzar vahan Thahra hua hai
kabhi mansub rahat se tha dariya
baḌa be-dard vo sahra hua hai
tapish men ishq ki bechain sa tha
kaleja ro ke ab ThanDa hua hai
saja kar bazm ‘ja.afar’ aarzu ki
akela der se baiTha hua hai
Leave a Reply