na puchh hijr men jo haal ab hamara hai
umid-e-vasl hi par in dinon guzara hai
na dekhun tujh ko to aata nahin kuchh aah nazar
tu meri putli ka ankhon ki yaar taara hai
mujhe jo baam pe shab ko bula.e hai vo maah
magar uruuj pe kya in dinon sitara hai
yaqin jaan tu vaa.iz ki diin o duniya men
bas us ki sirf mujhe zaat ka sahara hai
ajab tarah se nazar paḌ gaya mire hamdam
qayamat aah vo mukhḌa bhi pyara pyara hai
mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se
na iḳhtiyar hai us ka na mera chara hai
kaha jo main ne pilate ho bazm men sab ko
magar hamen hi nahin kya gunah hamara hai
to bole vo ki jise chahen ham pila.en sharab
ḳhushi hamari tira is men kya ijara hai
gaya vo parda-nashin jab se apne ghar ‘ghamgin’
tamam ḳhalq se dil ko mire kinara hai
Leave a Reply