is aankh men ḳhvab-e-naz ho ja
ai hijr ki shab daraz ho ja
asrar tamam khul rahe hain
tu apne liye bhi raaz ho ja
ai naghma-navaz aḳhir-e-shab
ahang-e-shikast-e-saz ho ja
divar ki tarah band kyuun hai
dastak koi de to baaz ho ja
ab din to ghurub ho raha hai
saa.e ki tarah daraz ho ja
yaan fat.h sabab hai sar-kashi ka
tu haar ke sarfaraz ho ja
tu shisha bane ki sang kuchh ban
andar se magar gudaz ho ja
us aankh se siikh raz-e-ismat
khul khel ke pak-baz ho ja
Leave a Reply