haal khulta nahin jabinon se
ranj uthae hain jin qarinon se
raat ahista-gam utri hai
dard ke mahtab zinon se
ham ne socha na us ne jaana hai
dil bhi hote hain abginon se
kaun lega sharar-e-jan ka hisab
dast-e-imroz ke dafinon se
tu ne mizhgan utha ke dekha bhi
shahr khali na tha makinon se
ashna ashna payam aae
ajnabi ajnabi zaminon se
ji ko aram aa gaya hai ‘ada’
kabhi tufan kabhi safinon se
Leave a Reply