charagh-e-dard jalao ki raushni kam hai
junun ki bazm sajao ki raushni kam hai
na chheḌo zikr-e-ta.affun bhare zamane ka
gulab-e-zaḳhm khilao ki raushni kam hai
na jaane chhup ga.i manzil kahan andheron men
mire qarib-tar aao ki raushni kam hai
tumhare shahr ki shayad hai sub.h shab-parvar
ye kya hai varna batao ki raushni kam hai
na bazm-e-fikr hai raushan na jam-e-dil labrez
ghamon ka zahr pilao ki raushni kam hai
sada ye deta hai ‘shaghil’ rah-e-vafa se kaun
lahu jigar ka jalao ki raushni kam hai
Leave a Reply