ishq ne mere jise alqab ka daftar diya
us ne sone ko mujhe kanTon bhara bistar diya
meri tahriron se ḳha.if ho ke phir aghyar ne
rang koi aur afsanon men mere bhar diya
tere angan se utarti chandni ne ab talak
ḳhauf baḳhsha siskiyan diin aur mujh ko Dar diya
ja tiri jholi men main ne apni ḳhushiyan Daal diin
ja tire daman ko ummidon se main ne bhar diya
teri chahat ka bharam rakhne ka sauda sar men tha
ham ne apna ghar diya phir zar diya phir sar diya
jab hunar us ki mohabbat ka khula mujh par ‘sabin’
qaid us ne ghar ki divaron men mujh ko kar diya
Leave a Reply