jo mast-e-jam-e-bada-e-irfan na ho saka
vo janvar hi rah gaya insan na ho saka
jo bhi sharik-e-mahfil-e-rindan na ho saka
vo bevaquf kamil-e-iman na ho saka
vaa.iz bhi hain vo zat-e-girami ki al-hazar
ham-palla jin ka dahr men shaitan na ho saka
fitrat badal saki na kabhi mere dost ki
lahbaḌ kisi tarah se bhi Toiyan na ho saka
daman-e-hashr aa hi gaya kaam hashr men
neck-tie ban ga.i jo gireban na ho saka
insanon ke zamir bike kauḌiyon ke mol
ghalla magar giran raha arzan na ho saka
ye kashmakash zamane ki allah ki panah
jiina to jiina marna bhi asan na ho saka
vo honge kya kisi se zamane men ham-nabard
jin pagalon se chaak gireban na ho saka
batla rahi hai shaiḳh ki taqrir-e-muzmahil
kuchh aaj halve-manDe ka saman na ho saka
eḌi ragaḌ ke najd men divana mar gaya
aur us ke naam aloT bayaban na ho saka
rahzan libas-e-rahbari men na chhup saka
aalu ne laakh chaha pe ghuiyan na ho saka
dilchasp ho saka na kabhi shaiḳh ka bayan
kavva gharib murgh-e-ḳhush-alhan na ho saka
ai ‘shauq’ rona aata hai us bad-nasib par
jo ḳhak-rub-e-kucha-e-janan na ho saka
Leave a Reply