amir-e-shahr se mil kar saza.en milti hain
is haspatal men naqli dava.en milti hain
ham ek parTi mil kar chalo banate hain
ki teri meri bahut si ḳhata.en milti hain
purani dilli men dil ka lagana Thiik nahin
na dhuup aur na taaza hava.en milti hain
ab un ka nam-o-nasab dusre batate hain
uruuj milte hi kya kya ada.en milti hain
kisi gharib ki imdad kar ke dekh kabhi
zara se kaam ki kitni dua.en milti hain
Leave a Reply