manzilon se begana aaj bhi safar mera
raat be-sahar meri dard be-asar mera
gumrahi ka aalam hai kis ko ham-safar kahiye
thak ke chhoḌ baiThi hai saath rahguzar mera
vo farogh-e-ḳhalvat bhi anjuman-sarapa bhi
bhar gaya hai phulon se daman-e-nazar mera
ab tire taghaful se aur kya talab kiije
shauq-e-na-rasa mera ishq-e-mo’atabar mera
daur-e-kam-ayari hai kuchh pata nahin chalta
kaun mera qatil hai kaun chara-gar mera
na-guzir hasti hain fasl-e-gul ke hangame
shozish-e-numu teri fitna-e-sharar mera
kuchh batao to aḳhir kya javab duun us ko
ik saval karta hai roz mujh se ghar mera
asman ka shikva kya vaqt ki shikayat kyuun
ḳhun-e-dil se nikhra hai aur bhi hunar mera
dil ki be-qarari ne hosh kho diye ‘taban’
varna astanon par kab jhuka tha sar mera
Leave a Reply