ab talak tund havaon ka asar baaqi hai
ik charagh aur sar-e-rahguzar baaqi hai
vo hamari nahin sunta to gila hai kaisa
ab kahan apni duaon men asar baaqi hai
dil men baaqi hain faqat chand lahu ke qatre
ab mire paas yahi zad-e-safar baaqi hai
phir bana lenge usi ja pe nasheman apna
ashiyan jis pe tha vo shaḳh-e-shajar baaqi hai
ma.asiyat ashk nadamat se bhi dhul jaati hai
mutma.in huun ki abhi dida-e-tar baaqi hai
jab vo chahe mujhe do-nim kare aa ke ‘habab’
dast-e-qatil men yahi ek hunar baaqi hai
Leave a Reply