main likh kar ho sakunga surḳh-ru kya
qalam kya aur qalam ki aabru kya
na socha kaTne vaale ne itna
hari Daali ki thi kuchh aarzu kya
zara jaage to ham sina-sipar hon
ana ko jo sula de vo lahu kya
zamin ko ab-o-dana de ke dekho
khila deti hai gulzar-e-numu kya
adu ko zer kar lo faslon se
laḌa.i ab hai lazim du-ba-du kya
Leave a Reply