raushni kar de sar-ba-sar maula
us ki ankhon men nuur bhar maula
sirf tera use sahara ho
sirf tera hi us ko Dar maula
us ki ḳhush-qismati rahe daa.im
us se qaa.em hai mera ghar maula
us ki parvaz ho surayya tak
kar de mazbut us ke par maula
nekiyan hon qarib aur qarib
duur us se hon saare shar maula
shab-e-tira men mere kamsin ke
hauslon ko buland kar maula
ye mujhe is qadar zaruri hai
jaise ghar ke liye ho dar maula
bar-zarurat tasalliyon ke liye
dauḌ kar aa.en bahr-o-bar maula
sirf kahna hai lafz kun tu ne
sirf lagna hai lamha bhar maula
hal-e-dil jab bata diya tujh ko
yuun laga ho ga.i sahar maula
aur jo kuchh na kah saka baaba
kah rahi hai ye chashm-e-tar maula
sab ko ye kah diya hai ‘tahir’ ne
mera koi nahin magar maula
Leave a Reply