teri gali men ik divana aksar aaya karta tha
divaron se sar Takra ke lutf uThaya karta tha
baiTh ke sahil par ham donon sapne boya karte the
ret ke siine par ik bachcha mahl ugaya karta tha
aaj bhi is marhum ki yaden ashkon se paivasta hain
dil dukhiyara tere mere dard baTaya karta tha
mere paanv chaaT ke mere qad se bhi baḌh jaata tha
mere saath tamashe kitne mera saaya karta tha
nok-e-mizha par kitne qulzum thaam ke baiTha rahta tha
jaane kyuun main gahre gahre zaḳhm chhupaya karta tha
ye bhi husul-e-namvari ki kitni pagal koshish thi
ab-e-ravan par likh ke apna naam miTaya karta tha
Leave a Reply