gham-e-jigar-shikan o dard jan-sitan dekha
tumhare ishq men kya kya na mehrban dekha
har ek majlis-e-khuban men dil-sitan dekha
na koi tujh sa par ai afat-e-jahan dekha
main vo asiir huun jin ne ki dagh-e-yas siva
na sair-e-lala-sitan ki na gulsitan dekha
jis aankh men na samati thi buund aansu ki
ab us ne gham men tire sail-e-khun ravan dekha
na kohkan ne vo dekha kabhi na majnun ne
tumhare ishq men jo ham ne ai butan dekha
hazar garche hain bimar teri ankhon ke
par un men koi bhala mujh sa na-tavan dekha
main vo mariz huun pyare ki jin ne muddat se
siva-e-dard na aram yak-zaman dekha
kiya saval main ‘bedar’ se ki ai mahjur
kabhi bhi tu ne bhala vasl-e-dil-sitan dekha
mufariqat hi men kya umr khoi meri tarah
ki ishq men dil-e-gham-ghin na shadman dekha
ye sun ke rone laga aur baad rone ke
kaha na puchho jo kuchh main ne ai miyan dekha
firaq-e-yar jafa-e-shamanat-e-aada
gham-e-dil o sitam-e-pand-e-nasehan dekha
na paai zarra bhi us ashk-e-garm ki tasir
na ek dam asar-e-nala-o-fughan dekha
jahan men vasl hai sunta huun muddaton se va-lek
siva-e-nam na us ka kahin nishan dekha
Leave a Reply