dil hota hai taskin ke aalam men hazin aur
le chal mujhe ai shauq-e-subuk-gam kahin aur
haan aur uTha parde ko ai parda-nashin aur
mujh sa nahin koi tire jalvon ka amiin aur
jitni vo mire haal pe karte hain jafa.en
aata hai mujhe un ki mohabbat ka yaqin aur
mai-ḳhane ki hai shaan usi shor-e-talab se
haan aur nahin par hai taqaza ki nahin aur
hai hasil-e-sad-zist javani ka ye aalam
ai umr-e-gurezan mujhe rahne de yahin aur
mujh sa jo nahin aur koi chahne vaala
tujh sa bhi zamane men nahin koi hasin aur
kaafi nahin mujh ko ye nigah-e-ghalat-andaz
haan aur baḌha hausla-e-qalb-e-hazin aur
takrar ka ai shaiḳh yahi to hai natija
tum ne jo kahin aur to ham se bhi sunin aur
ham martaba-e-‘arsh’ koi un men na hoga
honge dar-e-janan ke bahut ḳhak-nashin aur
Leave a Reply