udasi asman hai dil mira kitna akela hai
parinda shaam ke pul par bahut ḳhamosh baiTha hai
main jab so ja.un in ankhon pe apne honT rakh dena
yaqin aa ja.ega palkon tale bhi dil dhaḌakta hai
tumhare shahr ke saare diye to so ga.e kab ke
hava se puchhna dahliz pe ye kaun jalta hai
agar fursat mile paani ki tahriron ko paḌh lena
har ik dariya hazaron saal ka afsana likhta hai
kabhi main apne hathon ki lakiron se nahin uljha
mujhe ma.alum hai qismat ka likkha bhi badalta hai
Leave a Reply