ik zamane se falak Thahra hua lagta hai
koi jiita hai yahan aur na koi marta hai
azma.ish ho to kya janiye kis ka nikle
dekhne men to vo apna hi koi lagta hai
maut hi ki ho par ummid ki surat ho koi
na-umidi men kahan tak koi ji sakta hai
naqsh-e-pa hain jo batate hain ki guzra hai koi
kaun guzra hai magar kis ko pata chalta hai
koi puchhe to batana nahin aata dil ko
baiThe baiThe kabhi rota hai kabhi hansta hai
sub.h ki aas na toḌo ki jiyoge kaise
in havaon men abhi ek diya jalta hai
qafila aisa muqaddar hai ki chalta hi nahin
aur chalta hai to pichhe ki taraf chalta hai
rah ga.i barf faqat shahr ki buniyadon men
phir bhi jo zarra hai suraj ka asar rakhta hai
hijr ne aise marahil se guzara hai ki ab
raat ka naam bhi aa jaa.e to ji Darta hai
dekhte dekhte kya ho gaya ‘shohrat’ ki vo ab
dil men rahta hai magar duur bahut lagta hai
Leave a Reply