ek ajab si duniya dekha karta tha
din men bhi main sapna dekha karta tha
ek ḳhayal-abad tha mere dil men bhi
ḳhud ko main shahzada dekha karta tha
sabz pari ka uḌan-khaTola har lamhe
apni janib aata dekha karta tha
uḌ jaata tha ruup badal kar chiḌiyon ke
jangal sahra dariya dekha karta tha
hiire jaisa lagta tha ik ik patthar
har miTTi men sona dekha karta tha
koi nahin tha tishna registanon men
har sahra men dariya dekha karta tha
har janib hariyali thi ḳhush-hali thi
har chehre ko hansta dekha karta tha
bachpan ke din kitne achchhe hote hain
sab kuchh hi main achchha dekha karta tha
aankh khuli to saare manzar gha.eb hain
band ankhon se kya kya dekha karta tha
Leave a Reply