kya kabhi un se baat ki hai
ji baḌi ehtiyat ki hai
tum kabhi din ko mat sunana
vo kahani jo raat ki hai
zindagi ne saval puchha
koi surat najat ki hai
Dhal gaya hai shabab us ka
varna vo mere saath ki hai
tu samajhta hai sirf tu ne
sirf tu ne hayat ki hai
Leave a Reply