tazad achchha nahin tarz-e-bayan ka ham zabanon men
haqiqat ko chhupata ja raha huun dastanon men
sabhi to aaj bargashta hain azmat-soz pasti se
macha rakkhi hai ik halchal zamin ne asmanon men
samajhta huun main be-mafhum si avaz shikve ko
musibat ḳhud madad karti hai aa kar imtihanon men
mira a.ina-e-ehsas hairan ho nahin sakta
yaqin ka nuur paida kar hi leta hai gumanon men
bana rakha hai bad-tar az qafas ḳhauf-e-asiri ne
siva tinkon ke ab kya rah gaya hai ashiyanon men
naya ik ma.abad-e-ummid bhi ta.amir karna hai
anadil mo.atakif kab tak rahengi gulistanon men
miri nairangiyan chhane lagi hain rang-e-mahfil par
bahut kuchh farq ‘yaqub’ aa chala hai dastanon men
Leave a Reply