• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dilon Ka Soz Tere Ru-E-Be-Naqab Ki Aanch

dilon Ka Soz Tere Ru-E-Be-Naqab Ki Aanch

firaq-gorakhpuri

dilon ka soz tire ru-e-be-naqab ki aanch

tamam garmi-e-mahfil tire shabab ki aanch

savab-e-khuld-e-barin kya azab-e-dozakh kya

tire khitab ki thandak tire itaab ki aanch

harim-e-ishq ke pardon se lau nikalti hai

ye soz-o-saz hai kis naghma-e-rabab ki aanch

lahakte sabze men abr-e-bahar ki masti

dahakte phuul men chhalki hui sharab ki aanch

ye kaif-e-husn ye barq-e-nigah kya kahna

laga de aag na us daman-e-sahab ki aanch

chadha ke saghar-e-mai jagmaga uthe chehre

simat ke aa gai sinon men aftab ki aanch

panah maang rahi hai hari-bhari duniya

na puchh ah-dil-e-kha-numan-kharab ki aanch

ye agle vaqton ke hain khush hain bagh-e-jannat men

unhen khabar hi nahin kya hai is savab ki aanch

ye aa gaya hai yahan kaun kafir-e-maasum

ki thandi pad gai dozakh ke bhi azaab ki aanch

jise samajhte hain sab mauj-e-kausar-o-tasnim

vo aaina bhi hai tapte hue sarab ki aanch

sahar ki taza-dami chadhti dhuup ki garmi

tiri nigah ki thandak tire shabab ki aanch

ruki ruki si lab-e-shauq par hai arz-e-visal

ki phunk de na tire zauq-e-intikhab ki aanch

yahi hai raunaq-e-garmi yahi hai raunaq-e-bazm

nigah-e-naz tire zauq-e-intikhab ki aanch

ye raat aag laga de kahin na duniya men

ye chandni ye havaen ye mahtab ki aanch

shuaen phuut ke jaise faza men gum ho jaaen

chhalakte jaam men ye chashmak-e-habab ki aanch

savar-e-ablaq-e-ayyam mausam-e-gul hai

chaman ke shoale hain ya halqa-e-rakab ki aanch

ye mehr-o-mah bhi udte hue sharare hain

ki arsh tak hai mohabbat ke pech-o-tab ki aanch

samet rakkhe hain ruhul-qudus ne par apne

pahunch rahi hai kahan tak is iztirab ki aanch

‘firaq’ vaqt ke rukh se ulat rahi hai naqab

zamin se ta-ba-falak hai is inqalab ki aanch

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Patthar Se Mukalima Hai Jari

Ruh Hazir Hai Mere Yar Koi Masti Ho

Agarche Aaina-E-Dil Mein Hai Qayam Us Ka

Shisha-E-Dil Mein Tere Waste Baal Aaya Kyun

poet

Masjid Ko Mat Jaya Kar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet