mire qarib se guzra ik ajnabi ki tarah
vo kaj-ada jo mila bhi to zindagi ki tarah
mila na tha to guman us pe tha farishton ka
jo ab mila hai to lagta hai aadmi ki tarah
kiran kiran utar aa.i hai rauzan-e-dil se
kisi hasin ki tamanna bhi raushni ki tarah
miri nigah se dekho to ham-zaban ho jaao
ki dushmani bhi kisi ki hai dosti ki tarah
na milne vaale kinaron ka naam Thahra shauq
gurez-pa hai jahan husn ik nadi ki tarah
na khul saka to lahu ho ke bah gaya hai dil
kabhi khila to mahak uThega kali ki tarah
hazar sher hain aur ek ḳhamushi ki ada
hazar rang hain aur ek sadgi ki tarah
bahut dinon men mile hain ham aaj ‘ishqi’ se
nahin vo phir bhi koi shaḳhs hai usi ki tarah
Leave a Reply