• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Rubai / Yar Jab Ham-Kanar Howega

Yar Jab Ham-Kanar Howega

poet

yaar jab ham-kanar hovega

dil ko mere qarar hovega

guzra mujh khaak se jo daman-kash

ye vahi shahsavar hovega

taab kya mah-e-char-dah ko jo tuk

us pari se do-char hovega

mehr us rukh ke aage afsurda

juun charagh-e-mazar hovega

gul nazakat ke aage us ru ke

chashm-e-bulbul men khaar hovega

sarv is qadd-e-rast ke aage

banda-e-chobdar hovega

garche aalam men har koi tera

ashiq-e-gham-gusar hovega

yaad kar ham sa par na kui pyare

fidvi-e-jan-nisar hovega

ai ‘jahandar’ kab vo aina-ru

dekho mujh se do-char hovega

Filed Under: Rubai Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kisi Bhi Kaam Ka Mera Hunar Nahin Na Sahi

ajmal-siraj

Jo Ashk Barsa Rahe Hain Sahib

Mujh Par Nishan Lagaiye Pahle Sawaliye

Kahani Yun Adhuri Chal Rahi Hai

abdul-hamid-adam

Girte Hain Log Garmi-e-Bazar dekh Kar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet