vo naznin ye nazakat men kuchh yagana hua
jo pahni phulon ki baddhi to dard-e-shana hua
shahid naz-o-ada ka tire zamana hua
uḌaya mehndi ne dil chor ka bahana hua
shab us ke afa.i-e-gesu ka jo fasana hua
hava kuchh aisi bandhi gul charagh-e-ḳhana hua
na zulf-e-yar ka ḳhaka bhi kar saka maani
har ek baal men kya kya na shaḳhsana hua
tavangaron ko mubarak ho sham-e-kafuri
qadam se yaar ke raushan gharib-ḳhana hua
gunahgar hain mehrab-e-tegh ke sajid
jhukaya sar to ada farz-e-panj-gana hua
ghurur-e-ishq ziyada ghurur-e-husn se hai
idhar to aankh bhari dam udhar ravana hua
dikha de zahid-e-maghrur ko bhi ai sanam aankh
jamal-e-hur ka had se siva fasana hua
bhara hai shisha-e-dil ko na.i mohabbat se
ḳhuda ka ghar tha jahan vaan sharab-ḳhana hua
hava.e tund na chhoḌe mire ghubar ka saath
ye gard-e-rah kahan ḳhak-e-astana hua
ḳhuda ke vaste kar yaar chin-e-abru duur
baḌa hi aib laga jis kaman men ḳhana hua
hua jo din to hua us ko paas rusva.i
jo raat aa.i to phir niind ka bahana hua
na puchh haal mira chob-e-ḳhushk-e-sahra huun
laga ke aag mujhe karvan ravana hua
nigah-e-naz-e-butan se na chashm-e-rahm bhi rakh
kisi ka yaar nahin fitna-e-zamana hua
asar kiya tapish-e-dil ne aḳhir us ko bhi
raqib se bhi mira zikr gha.ebana hua
hava.e tund se patta agar koi khaḌka
samand-e-bad-e-bahari ka taziyana hua
zaban-e-yar ḳhamoshi ne meri khulva.i
main qufl ban ke kalid-e-dar-e-ḳhazana hua
kiya jo yaar ne kuchh shaghl-e-barq-andazi
charagh-e-zindagi-e-ḳhizar tak nishana hua
raha hai chah-e-zaqan men mira dil-e-vahshi
kun.en men jangali kabutar ka ashiyana hua
ḳhuda daraz kare umr-e-charḳh-e-nili ko
ye be-kason ke mazaron ka shamiyana hua
nahin hai misl-e-sadaf mujh sa dusra kam-baḳht
nasib-e-ghair mire munh ka ab-o-dana hua
hina.i hathon se choTi ko kholta hai yaar
kahan se panja-e-marjan harif-e-shana hua
dikha.i chashm-e-ghazalan ne halqa-e-zanjir
hamen to gosha-e-sahra bhi qaid-ḳhana hua
hamesha shaam se ham-sa.e mar rahe ‘atish’
hamara nala-e-dil gosh ko fasana hua
Leave a Reply