na kam hua hai na ho soz-e-iztirab-e-durun
tire qarib rahun main ki tujh se duur rahun
kahin koi tira mahram hai ai dil-e-mahzun
mujhe bata ki kidhar ja.un kis se baat karun
tiri nazar ne bahut kuchh sikha diya dil ko
kuchh itna sahl na tha varna karobar-e-junun
pukarti hain mujhe vus.aten do-alam ki
main apne aap se daman chhuḌa sakun to chalun
tiri vafa na mujhe raas aa saki lekin
main sochta huun tujhe kaise bevafa kah duun
miri shikasta-dili ka na kar ḳhayal itna
kahin na main tire ḳhvabon men talḳhiyan bhar duun
giraft-e-asr-e-ravan is qadar to mohlat de
ki miT rahi hai jo duniya use main dekh to luun
ye kis ḳhayal ne ki hai miri zaban-bandi
tujhi se kahne ki baten tujhi se kah na sakun
vo iztirab-talab tha kisi tavaqqo par
ab uTh chuki hai tavaqqo ab aa chala hai sukun
Leave a Reply