Kuchh Der Meri KHak uDi Hai Meri Jagah

kuchh der merī ḳhaak uḌī hai mirī jagah

sahrā meñ us ke ba.ad tahī hai mirī jagah

maiñ le rahā huuñ dasht se chhuTTī so mere ba.ad

taḳht-e-junūñ pe baiThe koī hai mirī jagah

maiñ to idhar khaḌā huuñ udhar chīḳhtā hai kaun

ye kis ko aag lagne lagī hai mirī jagah

merā hunar hai ye tirī dariyā-dilī nahīñ

ab tak jo tere dil meñ banī hai mirī jagah

apnī to aarzū hai na marzī na hī pasand

tū jis jagah biThā de vahī hai mirī jagah

sab dekhtā huuñ boltā lekin maiñ kuchh nahīñ

tasvīr jaise merī paḌī hai mirī jagah

bāshindgā-e-charḳh mirī fikr chhoḌ deñ

ḳhush huuñ zamīn par ki yahī hai mirī jagah

tasvīr meñ to apnī jagah par hai maiñ nahīñ

ik ajnabī sī shakl khaḌī hai mirī jagah

ab dekho farq baaġh pe paḌtā hai is se kyā

‘zīshān’ rut badal to ga.ī hai mirī jagah

Leave a Comment