kaun kahta hai ki yunhi razdar us ne kiya
ḳhuub parkha hai mujhe tab e’tibar us ne kiya
be-hijab-e-nafs tha vo ya koi ghafil badan
pairahan jo bhi diya hai taar taar us ne kiya
aaj phir apni sama.at saunp di us ne hamen
aaj phir lahja hamara iḳhtiyar us ne kiya
sirf ik aks-e-vafa par hi nahin Daali hai ḳhaak
a.ina-sazon ko bhi gard-o-ghubar us ne kiya
apne bam-o-dar pe raushan der tak rakkha nahin
har charagh-e-tamkanat ko be-dayar us ne kiya
main fareb-e-sham ki bahon men gum tha aur mira
sub.h ki pahli kiran tak intizar us ne kiya
zindagi se jang men ye ma.arka hota raha
ik rajaz main ne paḌha aur ek vaar us ne kiya
vo akela tha rah-e-nisbat men lekin jaane kyuun
meri parchha.in ko bhi ḳhud men shumar us ne kiya
Leave a Reply