supurd-e-gham-zadagan-e-saf-e-vafa hua main
paḌa huun umr ki divar se gira hua main
ajiib soch si aur us pe sochta hua main
ki TuTta tiri hairat men aa.ina hua main
kahin main koh pe farhad aur dasht men qais
vajud-e-ishq men huun ḳhud ko DhunDhta hua main
jise bhi milna hai mujh se vo intizar kare
na jaane kab palaT aa.uun kahin gaya hua main
na mil saka koi afsos vaqt par mujh ko
kisi ko mil na saka vaqt se kaTa hua main
tamam ham-nafasan qat.a kar ga.e manzil
bas ik musafir-e-rah, rah gaya bacha hua main
tamam umr yunhi tarz-e-bud-o-bash rahi
kahin charagh bana main kahin hava hua main
samajh na sahl zamane ki gardishon ke ba.ad
hua main ḳhud ko faraham mujhe ata hua main
ajiib kaifiyat-e-intishar men huun ravan
ghubar sa huun kisi ḳhaak se uḌa hua main
Leave a Reply