KHwabon Ka Koi Sira Nahin Hai

ḳhvāboñ kā koī sirā nahīñ hai

hai bhī to mujhe patā nahīñ hai

tā-dūr ġhubār uḌ rahā hai

hone ko to kuchh huā nahīñ hai

phir raat kī sarzamīñ hai maiñ huuñ

aur haath meñ phir diyā nahīñ hai

phir raat kī sarzamīñ hai maiñ huuñ

aur haath meñ phir diyā nahīñ hai

ik ḳhvāb kī lau hai chashm-e-tar meñ

tasvīr meñ kuchh nayā nahīñ hai

bedār haiñ shahar kī havā.eñ

vo shaḳhs abhī gayā nahīñ hai

sahrā meñ ghaTā baras rahī hai

ye vaqt lekin marā nahīñ hai

sāñsoñ meñ kasak hai ajnabī sī

us ne to abhī chhuā nahīñ hai

maiñ vaqt se chal rahī huuñ aage

tā-dūr koī sadā nahīñ hai

sarshār huuñ sher kah ke ‘nainā’

kuchh aur agar sila nahīñ hai

Leave a Comment