ab-e-ravan huun rasta kyuun na DhunDh luun
main tere intizar men kab tak ruka rahun
tarikiyan muhit hain har anjuman pe aaj
lazim nahin ki main tiri mahfil men hi jalun
ghabra raha hai ji mira tan ke makan men
majburiyon ke saa.e men kab tak paḌa rahun
nikla huun teri bazm se manind-e-dud-e-sham.a
chahun bhi ab kabhi to main vapas na aa sukun
milna tira to ḳhair baḌi baat hai magar
itna bhi kam nahin hai ki main ḳhud ko DhunDh luun
ḳhud se bhi koi rabt nahin mera in dinon
tujh se ta.alluqat ki tajrid kya karun
ankhen bujhi bujhi hain to manzar miTe miTe
ai zindagi kahan se tujhe ab-o-rang duun
‘ruhi’ ye daur-e-zist musalsal azaab hai
khul kar na hans sakun na kabhi khul ke ro sakun
Leave a Reply